aap ki or ek nazar dekha

aap ki or ek nazar dekha
phir na hum ne idhar-udhar dekha

is jahan mein jahan jidhar dekha
hum ne bechain har bashar dekha

khub roe lipat ke hum us se
ek tanha sa jo shajar dekha

kul khudai hui fida jis par
hum ne ek but mein wo hunar dekha

ab bhi hasrat hai dekhne ki use
ek chehra jo 'umr-bhar dekha

dard bhula judai ka apna
chhat pe tanha jo kal qamar dekha

khwab ta'bir dhundne nikle
ujda ujda har ek nagar dekha

lakh utthe hain walwale dil mein
ek nazar ka teri asar dekha

ab kisi se gila nahin hai 'sada'
dil mein jab se hai jhank kar dekha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close