aap mein kyunkar rahe koi ye saman dekh kar sham-e-ismat ko bhari mahfil mein uryan dekh kar dil ko bahlate ho kya kya aarzu-e-kham se amr-e-na-mumkin mein goya rang-e-imkan dekh kar kya ajab hai bhul jaen ahl-e-dil apna bhi dard husn-e-mastana ko aakhir mein pashiman dekh kar dhundte phirte ho ab tute hue dil mein panah dard se khali dil-e-gabr-o-musalman dekh kar dil jala kar wadi-e-ghurbat ko raushan kar chale khub sujhi jalwa-e-sham-e-ghariban dekh kar imtiyaz-e-surat-o-mani se begana hua aaine ko aaina hairan ko hairan dekh kar pairahan mein kya sama sakta habab-e-jaan-ba-lab hasti-e-mauhum ka khwab-e-pareshan dekh kar sabr karna sakht mushkil hai tadapna sahl hai apne bas ka kaam kar leta hun aasan dekh kar aur kya hoti 'yagana' dard-e-isyan ki dawa kya ghazal yaad aai wallah fard-e-isyan dekh kar