aap meri tabiat se waqif nahin mujh ko be-ja takalluf ki aadat nahin mujh ko pursish ki pahle bhi khwahish na thi aur pursish ki ab bhi zarurat nahin yun sar-e-rah bhi pursish-e-haal ki is zamane mein fursat kisi ko kahan aap se ye mulaqat rasmi sahi itni zahmat bhi kuchh kam inayat nahin aap is darja afsurda-khatir hon aap koi asar apne dil par na len main ne jo kuchh kaha ek fasana kaha aur fasane ki koi haqiqat nahin aisi mahfil mein shirkat se kya faeda aise logon se koi tawaqqoa bhi kya jo kaha jae khamosh sunte raho lab-kushai ki qatan ijazat nahin nukta-chini to fitrat hai insan ki kis ka shikwa karen kis ko ilzam den khud hamin kaun se parsaon mein hain hum ko duniya se koi shikayat nahin mujh ko malum hai aap majbur hain aap mere liye muft ruswa na hon aise haalat mein be-rukhi thik hai mujh ko is baat par koi hairat nahin kuchh ye 'iqbaal' hi par nahin munhasir sargirani musallat hai mahaul par aql-o-danish ke badhte hue bojh se sar uthane ki duniya ko fursat nahin