aap shayad bhul baithe hain yahan main bhi to hun is zamin aur aasman ke darmiyan main bhi to hun haisiyat kuchh bhi nahin bas ek tinke ki tarah fikr-o-fan ke is samundar mein rawan main bhi to hun be-sabab be-jurm patthar shahzadi ban gai bas yahi thi ek sada-e-be-zaban main bhi to hun inkisari paedari sab rawa-dari gai jab takabbur ne kaha badh kar myan main bhi to hun aaj is andaz se tum ne mujhe aawaz di yak-ba-yak mujh ko khayal aaya ki han main bhi to hun tere sheron se mujhe mansub kar dete hain log naz hai mujh ko jahan tu hai wahan main bhi to hun ruthna kya hai chalo main hi mana laun use be-rukhi se us ki 'nusrat' nim-jaan main bhi to hun