aarzu hasrat tamanna muddaa koi nahin jab se tum ho mere dil mein dusra koi nahin be-wafai ka mujhe tujh se gila koi nahin pyar to main ne kiya teri khata koi nahin chahne wala hun tera jab kabhi main ne kaha kah diya us bewafa ne tu mera koi nahin main ne jab se dil lagaya wo na mera ho saka is se badh kar dil lagane ki saza koi nahin khub hai wo zindagi jo sath guzre yar ke yar bin ulfat mein jine ka maza koi nahin ruh ki taskin ka chaara nahin hai maut bhi dard aisa hai mera jis ki dawa koi nahin ajnabi hun main shanasaon mein bhi rahte hue jaanta koi nahin pahchanta koi nahin kaam kuchh tere bhi hote teri marzi ke khilaf han magar mere khuda tera khuda koi nahin badh ke tufan mein sahaara mauj-e-tufan kyon na de meri kashti ka khuda hai nakhuda koi nahin justuju kaamil hai to manzil ka milna shart hai justuju se badh ke 'purnam' rahnuma koi nahin