aarzu tadbir ho kar rah gai

aarzu tadbir ho kar rah gai
justuju takhir ho kar rah gai

sard sannata musallat ho gaya
be-hisi zanjir ho kar rah gai

soch ki aawaz kitni tez hai
khamushi taqrir ho kar rah gai

jab bhi ki tahrir apni dastan
teri hi taswir ho kar rah gai

kat hai alfaz ki kitni shadid
guftugu shamshir ho kar rah gai

aah ye din rain ki bechain soch
jo meri taqdir ho kar rah gai

said-e-takhrib-e-khirad hai zindagi
hasrat-e-tamir ho kar rah gai

harf-e-sanjida thi rudad-e-khirad
kitni be-tasir ho kar rah gai

ahd-e-hazir ki kitabi shairi
fikr ki jagir ho kar rah gai

mere fikr-o-fan ki azmat aakhirash
shokhi-e-tahrir ho kar rah gai

'kirshn' mohan khwab ki tabir bhi
dard ki tafsir ho kar rah gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close