aaseb bas gaya koi aa kar makan mein ek nam leta rahta hai har waqt kan mein mujh ko shigaf karna pada aasman mein koi khala jab hone laga darmiyan mein diwar mein darar to aani thi ek din sar kab talak patakhti khamoshi makan mein wo karb-e-ibtisam na tafhim kar saka ehsas ki kami thi mere tarjuman mein kuchh is sabab bhi dard ka ehsas tha ziyan gard-e-safar hi rah gai hasil thakan mein kal shab shab-e-firaq ki mahrumiyan na puchh tamhid-e-hijr bhi rahi shamil azan mein chikhon se jag utthe kai munjamid bhanwar koi dua thami si rahi aasman mein muddat se khud-kalami hai 'tara' bhi kya karen jale se jaise padne lage hain zaban mein