aashiyan chhod kar nikal aae jab parindon ke par nikal aae us ne jab hath mein liya patthar kitne betab sar nikal aae dil kureda to us ke malbe se yaad ke baam-o-dar nikal aae barf thi barf ke pighalte hi phul us shakh par nikal aae jis taraf raushni nahin aati us taraf tu agar nikal aae wo mere sath kya chala 'tabish' waqt ke baal-o-par nikal aae