aashna ho kar bhi us ne mujh ko pahchana na tha us ke is bartaw ka kuchh mujh ko andaza na tha aise ek tapte safar ki dastan thi zindagi dhup thi sae mein lekin dhup mein saya na tha kya kahun tujh se bichhad kar zindagi kaise kati harkaten karti thi sansen aur main zinda na tha gir gaya kyun yak-ba-yak tara zamin par tut kar aasman dekha tha main ne aur kuchh manga na tha ham-zaban sab the nadarat bhid ke us shahr mein gird mere buildingen thi koi ham-saya na tha phir bhi us rishte ko main ne tut kar chaha 'pawan' wo ki jis rishte se mera koi bhi nata na tha