aashufta-nawai se apni duniya ko jagata jata hun diwana hun diwanon ko main hosh mein lata jata hun ummid ki shamen rah rah kar main dil mein jalata jata hun jab jal chukti hain ye shamen phir sab ko bujhata jata hun tum dekh rahe ho maikhane mein jurat-e-rindana meri main khud bhi pita jata hun tum ko bhi pilata jata hun takmil-e-mohabbat karta hun kuchh garmi se kuchh narmi se aahen bhi bharta jata hun aansu bhi bahata jata hun be-kar sahi nale mere be-sud sahi aahen meri main un ki nigahon mein lekin phir bhi to samata jata hun han saz-e-shikasta mein mere naghmon ka talatum pinhan hai shorida-nawai se apni mahfil par chhata jata hun main sai-e-musalsal kar ke bhi manzil se koson dur raha manzil na mili to kya hai magar apne ko pata jata hun ummid-e-wafa ke pesh-e-nazar main un ki jafaen bhul gaya hai mustaqbil par aankh meri mazi ko bhulata jata hun qudrat bhi muhayya karti hai ab mere liye ibrat ke sabaq har gam pe thokar khata hun aur hosh mein aata jata hun 'najmi' ye khamoshi bhi meri kuchh wajh-e-sukun-e-dil na hui main zabt-e-fughan se dard ko apne aur badhata jata hun