aaThon pahr lahu mein nahaya kare koi

aathon pahr lahu mein nahaya kare koi
yun bhi na apne dard ko dariya kare koi

ad jaegi fasil-e-shab-e-jabr tod kar
qaidi nahin hawa jise andha kare koi

dil takhta-e-gulab bhi aatish-fishan bhi hai
is rah-guzar se roz na guzra kare koi

odhi hai us ne sard khamoshi misal-e-sang
lafzon ke aabshaar giraya kare koi

pani ki tarah phail gai ghar mein sham-e-hijr
ta-subh dub dub ke ubhra kare koi

main hun kisi sada ke shikanje mein 'jafari'
mera pata hawaon se puchha kare koi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close