aatish-e-ishq-e-bala aag lagae na bane

aatish-e-ishq-e-bala aag lagae na bane
aur hum us ko bujhaen to bujhae na bane

rang-e-rukh udne pe aaj jae to roke na ruke
lakh wo raaz chhupaen to chhupae na bane

kya maza ho na rahe yaad jo andaz-e-jafa
main kahun bhi ki satao to satae na bane

khud wafa hai meri shahid ki wafadar hun main
lakh tum dil se bhulao to bhulae na bane

dil ke har zarra mein hai soz-e-mohabbat ki numud
khak mein in ko milaun to milae na bane

rah-e-ulfat ne kuchh aisi meri surat badli
daman-e-dasht chhupae to chhupae na bane

dil ko ab tab-e-talafi o mudawa abhi nahin
chaaragar aae to ehsan uthae na bane

koi khaka meri taswir ka khinche to sahi
khinch bhi jae koi naqsha to mitae na bane

maut qabu ki nahin aur na thikana is ka
koi waqt us pe bhi aae ki banae na bane

aise dhab se ho gila un ki sitam ka ai 'shauq'
baat kuchh chahen banani to banae na bane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close