aatish-fishan zaban hi nahin thi badan bhi tha dariya jo munjamid hai kabhi maujzan bhi tha main apni khwahishon se wafadar tha so hun gham warna dil-kharash bhi khwahish-shikan bhi tha kale khamosh pani ko ehsas tak nahin chehre pe marne wale ke ek bankpan bhi tha kis tarah mahr o mah ko karte alag 'fuzail' shoala-nafas jo tha wahi gul-pairahan bhi tha