aaya hai mujhko ek but-e-sim-bar se KHat

aaya hai mujh ko ek but-e-sim-bar se khat
main kyon jawab mein na likhun aab-e-zar se khat

allah re shauq-e-silsila-e-nama-o-payam
ek khat gaya idhar se ek aaya udhar se khat

kya jaanun hoga harf-e-tamanna bhi ya nahin
bhiga tha likhte waqt meri chashm-e-tar se khat

nama amal ka dekh na ai dawar-e-nushur
is par tu khinch khama-e-rahmat-asar se khat

har lafz us ka wahy na kyon ho mere liye
likkha hai us ne taer-e-sidra ke par se khat

us par farefta kahin qasid bhi ho na jae
main bhejta nahin isi wahm-o-khatar se khat

'zaiq' ali ke nam ko mushkil mein aazma
gardan pe tegh ka na pade is sipar se khat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close