aaya nahin wo jaur ka khugar tamam raat tadpa kiya mera dil-e-muztar tamam raat nind us ke husn-e-rukh ke tasawwur mein aai thi dekha hai barq-e-tur ka manzar tamam raat ye raaz mujh pe shama ke anjam se khula katti hai hijr-e-yar mein kyunkar tamam raat ai ham-nafas na puchh shab-e-hijr ka azab aankhon mein katni padi akasr tamam raat ek hum na un ki yaad mein jhapka sake palak ek wo ki mahw-e-baada-o-saghar tamam raat waqt-e-sahar ye jaana ki jage hain hum magar sota raha hamara muqaddar tamam raat sincha hai aansuon se bahut nakhl-e-arzu lekin samar na aa saka 'jauhar' tamam raat