ab aa bhi jao, bahut din hue mile hue bhi bhula hi denge agar dil mein kuchh gile hue bhi hamari rah alag hai, hamare khwab juda hum un ke sath na honge, jo qafile hue bhi hujum-e-shahr-e-khirad mein bhi hum se ahl-e-junun alag dikhenge, gareban jo hon sile hue bhi hamein na yaad dilao hamare khwab-e-sukhan ki ek umr hue hont tak hile hue bhi nazar ki, aur manazir ki baat apni jagah hamare dil ke kahan ab, jo silsile hue bhi yahan hai chaak-e-qafas se udhar ek aur qafas so hum ko kya, jo chaman mein hon gul khule hue bhi hamein to apne usulon ki jang jitni hai kise gharaz, jo koi fath ke sile hue bhi