ab ashk to kahan hai jo chahun tapak pade aankhon se waqt-e-girya magar khun tapak pade pahunchi jo tuk jhalak tere ranon ki gosh tak khajlat se aab ho dur-e-maknun tapak pade tughiyan sarishk ka to yahan tak hai chashm se ek qatra aab ka ho to jaijun tapak pade duba hai bahr sher mein aisa 'nawa' ki ab de taba ko fishaar to mazmun tapak pade