ab dhup muqaddar hui chhappar na milega

ab dhup muqaddar hui chhappar na milega
hum khana-ba-doshon ko kahin ghar na milega

aawara tamannaon ko gar samt na doge
bhatki hui ummat ko payambar na milega

suraj hi nazar aaega neze pe hamesha
sachchai ke shanon pe kabhi sar na milega

alfaz masail ke shararon se bhare hain
ghazlon mein meri husn ka paikar na milega

haaroge jo himmat to dubo dega samundar
sahil tumhein kashti se utar kar na milega

us bagh mein khilte hain abhi jhulse hue phul
us bagh mein khushbu ko abhi ghar na milega

ye soch ke aaya hai tere shahr mein 'anjum'
aainon ke is shahr mein patthar na milega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close