ab dil bhi dukhao to aziyyat nahin hoti hairat hai kisi baat pe hairat nahin hoti ab dard bhi ek had se guzarne nahin pata ab hijr mein wo pahli si wahshat nahin hoti hota hai to bas ek tere hijr ka shikwa warna to hamein koi shikayat nahin hoti kar deta hai be-sakhta banhon ko kushada jab bach ke nikal jaane ki surat nahin hoti dil khush jo nahin rahta to is ka bhi sabab hai maujud koi wajh-e-masarrat nahin hoti yun bar-sar-e-paikar hun main khud se musalsal ab us se ulajhne ki bhi fursat nahin hoti ab yun bhi nahin hai ki wo achchha nahin lagta yun hai ki mulaqat ki surat nahin hoti ye hijr-e-musalsal ka wazifa hai meri jaan ek tark-e-sukunat hi to hijrat nahin hoti do chaar baras jitne bhi hain jabr hi sah len is umr mein ab hum se baghawat nahin hoti