ab hawas ke Khaar hain is ishq ke gul-dan mein

ab hawas ke khar hain is ishq ke gul-dan mein
dard ke gul sukhte hain 'mir' ke diwan mein

dosti ka girya hai ki doston ki talkh baat
bhul jao dafn kar ke dil ke qabristan mein

ediyan kya apne sar ko bhi ragad len hum agar
ab kabhi zamzam nahin niklega registan mein

sust-rau logon ko nakaami mili aksar magar
tez chal kar bhi bahut se log hain nuqsan mein

apni chhat par amn ke panchhi ko dana kaun de
log sare ja chuke hain jang ke maidan mein

kuchh na fariyaaden sunen ki hai election phir qarib
rahnumaon se kaho ab tel dalen kan mein

ishq mein dil haarne ko ek zamana ho gaya
aur ab tak de rahe hain ashk hum tawan mein

teri har ek baat ab bhi yaad aati hai mujhe
log to kahte the main hun mubtala nisyan mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close