ab ke barish mein to ye kar-e-ziyan hona hi tha apni kachchi bastiyon ko be-nishan hona hi tha kis ke bas mein tha hawa ki wahshaton ko rokna barg-e-gul ko khak shoale ko dhuan hona hi tha jab koi samt-e-safar tai thi na hadd-e-rahguzar ai mere rah-rau safar to raegan hona hi tha mujh ko rukna tha use jaana tha agle mod tak faisla ye us ke mere darmiyan hona hi tha chand ko chalna tha bahti sipiyon ke sath sath moajiza ye bhi tah-e-ab-e-rawan hona hi tha main nae chehron pe kahta tha nai ghazlen sada meri is aadat se us ko bad-guman hona hi tha shahr se bahar ki virani basana thi mujhe apni tanhai pe kuchh to mehrban hona hi tha apni aankhen dafn karna thin ghubar-e-khak mein ye sitam bhi hum pe zer-e-asman hona hi tha be-sada basti ki rasmen thin yahi 'mohsin' mere main zaban rakhta tha mujh ko be-zaban hona hi tha