ab ke jab KHwahish-e-sila hi nahin

ab ke jab khwahish-e-sila hi nahin
is zamane se kuchh gila hi nahin

chand pura khila to hai lekin
rukh ka tere muqabla hi nahin

kaise manen bahaar aai hai
tera chehra abhi khila hi nahin

dard-e-dilbar bhi dard-e-dahr bhi hai
kaise kah den ki kuchh mila hi nahin

ab to chaak-e-kafan hi sil jae
zakhm-e-dil to 'sada' sila hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close