ab ke tajdid-e-wafa ka nahin imkan jaanan

ab ke tajdid-e-wafa ka nahin imkan jaanan
yaad kya tujh ko dilaen tera paiman jaanan

yunhi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai
kis qadar jald badal jate hain insan jaanan

zindagi teri ata thi so tere nam ki hai
hum ne jaise bhi basar ki tera ehsan jaanan

dil ye kahta hai ki shayad hai fasurda tu bhi
dil ki kya baat karen dil to hai nadan jaanan

awwal awwal ki mohabbat ke nashe yaad to kar
be-piye bhi tera chehra tha gulistan jaanan

aakhir aakhir to ye aalam hai ki ab hosh nahin
rag-e-mina sulag utthi ki rag-e-jaan jaanan

muddaton se yahi aalam na tawaqqo na umid
dil pukare hi chala jata hai jaanan jaanan

hum bhi kya sada the hum ne bhi samajh rakkha tha
gham-e-dauran se juda hai gham-e-jaanan jaanan

ab ke kuchh aisi saji mahfil-e-yaran jaanan
sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gareban jaanan

har koi apni hi aawaz se kanp uthta hai
har koi apne hi sae se hirasan jaanan

jis ko dekho wahi zanjir-ba-pa lagta hai
shahr ka shahr hua dakhil-e-zindan jaanan

ab tera zikr bhi shayad hi ghazal mein aae
aur se aur hue dard ke unwan jaanan

hum ki ruthi hui rut ko bhi mana lete the
hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jaanan

hosh aaya to sabhi khwab the reza reza
jaise udte hue auraq-e-pareshan jaanan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close