ab ke to gulistan mein wo daur-e-bahaar aaya phulon pe udasi hai kanton pe nikhaar aaya wo apne muqaddar pe rota hi raha barson auron ka muqaddar jo pal bhar mein sanwar aaya kya chaal chali tu ne kya jal bichhaya hai sayyaad mubarak ho ghar baithe shikar aaya jis jit ki khatir main bedar raha ab tak ek lamhe ki ghaflat mein wo jit bhi haar aaya diwangi-e-dil ka kya arz karun aalam main dard ke sahra mein khud ko hi pukar aaya har haal mein hai mujh ko manzur khushi un ki ruswai hui meri un ko to qarar aaya iflas mein ghut ghut kar dam tod diya jis ne aaj us pe zamane ki nafrat ko bhi pyar aaya sach kahta hun main 'arshad' aisa bhi hua aksar khud apni masarrat pe roya to qarar aaya