ab kis se kahen ki kya hua tha ek hashr yahan bapa raha tha dastar ki panw mein padi thi sardar kisi pe hans raha tha wo sham guzar gai thi aa ke ranjur udas main khada tha dahliz jakad rahi thi panw pindar magar uda hua tha sad shukr gadha hua tha qissa kam-bakht yaqin aa gaya tha ek bar hi aazma to lete dar band na tha bhida hua tha shab-khun mein raushni bahut thi tha kaun jo dekhta raha tha juzdan mein aayaten chhupi thin gul-dan mein phul khil raha tha ek shakhs ki tha wafa ka paikar wo shakhs bhi mail-e-jafa tha dastur wahi tha hasb-e-dastur insaf ka qatl ho raha tha kuchh phul khile hue the ghar mein kuchh yaad se dil mahak raha tha kuchh ashk gire hue the khat par ek lafz tha jo mita hua tha us sham tha dil bahut akela main hanste hanste ro pada tha thi baat bahut zara si 'ahmad' is dil ko na jaane kya hua tha