ab na hasrat na pas hai dil mein By Ghazal << kakul-o-chashm-o-lab-o-ru... gham har ek aankh ko chha... >> ab na hasrat na pas hai dil mein koi bhi is makan mein na raha kya shikayat jo kat gae gahak mal hi jab dukan mein na raha mar ke rahna pada ab us mein aah jite-ji jis makan mein na raha 'nadir' afsos qadar-dan-e-sukhan ek hindostan mein na raha Share on: