ab tak mujhe na koi mera raaz-dan mila jo bhi mila asir-e-zaman-o-makan mila kya jaane kya samajh ke hamesha kiya gurez sau bar bijliyon ko mera aashiyan mila ukta gaya hun jada-e-nau ki talash se har rah mein koi na koi karwan mila muddat mein hum ne aap banaya tha ek ufuq jate the us taraf ki tera aastan mila kin hauslon ke kitne diye bujh ke rah gae ai soz-e-ashiqi tu bahut hi garan mila kya kuchh luta diya hai teri har ada ke sath kya mil gaya hamein jo ye husn-e-bayan mila tha ek raaz-dar-e-mohabbat se lutf-e-zist lekin wo raaz-dar-e-mohabbat kahan mila ek umr baad isi mutalawwin nigah mein kitni mohabbaton ka khazana nihan mila ab justuju ka rukh jo muda hai to mat pukar sab tujh ko dhundte the magar tu kahan mila