ab to ashkon ki rawani mein na rakkhi jae us ki taswir hai pani mein na rakkhi jae ek hi dil mein thahar jaen hamesha ke liye zindagi naql-e-makani mein na rakkhi jae zinda rakhna ho mohabbat mein jo kirdar mera saat-e-wasl kahani mein na rakkhi jae yun to milte hain sabhi log bichhadne ke liye na-gahani ye jawani mein na rakkhi jae bhul jaana hai to ai dost bhula de mujh ko yaad ab yaad-dahani mein na rakkhi jae jab koi ek kashish khinch rahi hai hum ko kimiya falsafa-dani mein na rakkhi jae dil bhi thoda sa subuk-dosh-e-tamanna kar de kuchh tabiat bhi girani mein na rakkhi jae