ab to yun lab pe mere harf-e-sadaqat aae na-gahan shahr pe jaise koi aafat aae maslahat ho gai mamnua shajar ki surat lakh rokun magar us par hi tabiat aae dakhl khushiyon ka meri zist mein kaise ho ki jab tera gham bhi gham-e-dauran ki badaulat aae jis pe main chhap sakun sikka-e-khud-mukhtari zindagi mein koi aisi bhi to saat aae raat bhar dhota hun taron ki nadi mein aankhen tab kahin ja ke nazar subh ki surat aae barf haalat ki ban jae na poshak-e-hayat itni to teri tamanna mein hararat aae wusat-e-lamha pe rakhta hun nigahen 'ruhi' kyun na tahrir mein farda ki ibarat aae