ab zard libaade bhi nahin khushk shajar par jis samt nazar uthti hai be-rang hai manzar utre hain meri aankhon mein jawon ke sahife khwabon ka farishta hun main ghazlon ka payambar bite hue lamhon se mulaqat agar ho le aana hawao zara ek bar mere ghar itrao na masti mein jawan-sal parindo purwai ke jhonkon se bhi kat jate hain shahpar aa jate hain jab bhi teri khushbu ke bulawe pechida sawalat kiya karta hai bistar