abhi bujho na sitaro zara Thahar jao

abhi bujho na sitaro zara thahar jao
ai meri aankh ke taro zara thahar jao

hun sar pe bojh liye zindagi ka kab se khada
ye mera bojh utaro zara thahar jao

chale ho tum bhi bahut paniyon ke sath magar
thake thake se kinaro zara thahar jao

luti hui si ye mahfil bhi tum se jag uthe
lute hue se sahaaro zara thahar jao

wo jis ke nam hamari ye chand sansen hain
use kahin se pukaro zara thahar jao

hai phir se khun ki zarurat mere qabile ko
ai dil mujhi ko pukaro zara thahar jao

ye jaante hain ki 'zaryab' phir khizan hogi
zara sa waqt bahaaro zara thahar jao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close