abhi diwangi mein kuchh kami mahsus hoti hai abhi ai shiddat-e-gham zindagi mahsus hoti hai abhi mujh mein koi shai aur bhi mahsus hoti hai abhi idrak-e-wahdat mein kami mahsus hoti hai na jaane zakhm-e-dil ki aaj gahrai kahan pahunchi phata jata hai sina wo khushi mahsus hoti hai samaya jata hai jaise koi rag rag mein dil ban kar yunhi gham mein koi shai aur bhi mahsus hoti hai shab-e-tarik hai virana hai mahwiyyat-e-gham hai ajab aalam mein qurbat aap ki mahsus hoti hai azal se maut ne ab tak kai qalib badalwae magar jo chot thi dil mein wahi mahsus hoti hai jahan wo baith jae gir ke manzil hai wahi us ki jise har gam par wamandgi mahsus hoti hai kisi ki yaad ko har dam bhulae rakhta hun phir bhi khatakti dil mein nok-e-khar si mahsus hoti hai bayaban ki kashish ab le udegi dil ke zarron ko ki har har sans par waraftagi mahsus hoti hai jahan dil zabt-e-gham se khun ho jata hai sina mein wahin kuchh ruh ko baalidgi mahsus hoti hai agar sine mein dil rakhte ho tum to aaj batla do tumhein bhi meri betabi kabhi mahsus hoti hai wafur-e-talkh-kaami se ye uqda khul gaya aakhir jo hoti hai to gham mein zindagi mahsus hoti hai koi jine ko samjhe maya-e-ishrat bura kya hai mujhe to ek ibaadat zindagi mahsus hoti hai ghazal se ai 'jigar' andaza kar meri tabiat ka ghazal mein kaifiyat kuchh ruh ki mahsus hoti hai