abhi hawas ke hazaron bahane zinda hain nai ruton mein shajar sab purane zinda hain faza-e-mehr-o-mohabbat ki dagh-dari ko dhuan ugalte hue kar-khane zinda hain mujaviran-e-tamanna to mar gae kab ke darun-e-jism kai aastane zinda hain jawaz koi nahin hijraton se bachne ka hum is dayar mein kis ke bahane zinda hain ajab tilism hai jangal ke un darakhton ka parinde mar bhi chuke aashiyane zinda hain khudaiyon mein milega gada-e-ishq ka taj sar-zamin to hawas ke zamane zinda hain