abhi niklo na ghar se tang aa ke abhi achchhe nahin tewar hawa ke falak se main chala shabnam ki surat zamin ne rakh diya patthar bana ke mere zakhmi labon par kuchh nahin hai siwae ek lafz-e-be-nawa ke hamari khamushi ne laj rakh li nahin to hath kat jae sada ke badan khushbu ka larzan khauf se hai hawa ko raaz-e-dil apna suna ke saron ke dip hain nezon pe raushan main kaise dekhun manzar karbala ke tumhaare qatl ki khabren chhapi hain 'firaq' akhbar to dekho utha ke