abhi tak jo nahin dekhe wo manzar dekh lete hain chalo aapas mein hum aankhen badal kar dekh lete hain koi bhi khwab ho aankhon se bach kar rah nahin sakta jazire chhup bhi jaen to samundar dekh lete hain faza ko chir dete hain parinde apni chikhon se zamin par jab kahin bikhre hue par dekh lete hain unhen fankar ko pahchanna bhi khub aata hai hunar hai kis ke hathon mein ye patthar dekh lete hain hamein malum hai hum khairiyat se aafiyat se hain magar hum ehtiyatan dosh par sar dekh lete hain