abhi zamir mein thodi si jaan baqi hai abhi hamara koi imtihan baqi hai hamare ghar ko to ujde hue zamana hua magar suna hai abhi wo makan baqi hai hamari un se jo thi guftugu wo khatm hui magar sukut sa kuchh darmiyan baqi hai hamare zehn ki basti mein aag aisi lagi ki jo tha khak hua ek dukan baqi hai wo zakhm bhar gaya arsa hua magar ab tak zara sa dard zara sa nishan baqi hai zara si baat jo phaili to dastan bani wo baat khatm hui dastan baqi hai ab aaya tir chalane ka fan to kya aaya hamare hath mein khali kaman baqi hai