abr-e-bahaaran dushman apna phul se khali aangan apna lakh bachaen gul-chinon se zad mein hai is ki gulshan apna hirs-o-hawa se makr-o-riya se pak hai ab tak daman apna hariyali ki jot jagae barkha-rut mein khirman apna mamta ka har zikr hindola jhul raha hai bachpan apna ahl-e-wafa pe kya biti hai bol raha hai darpan apna waqt 'jamil' aaya hai aisa bojh bana hai jiwan apna