abr ke bin dekhe hargiz khush dil-e-mastan na ho tir baran howe mujh par jab talak baran na ho meri ruswai ne tere husn ki ki hai numud jab talak shabnam nahin roe to gul khandan na ho tarz teri guftugu ki hai gawah-e-mai-kashi bu-e-gul aur nashsha-e-sahba kabhi pinhan na ho shaikh ko wo jahl hai sau bar kabe ke tain jae aur aae wa-lekin phir gadha insan na ho zikr-e-abru-e-butan se kyun bura mane hai shaikh kya hua kafir tujhe qible se ru-gardan na ho sach bata ai jaan-e-ishq o ishq-bazan kya hai tu bin tere main us badan sa hun ki jis mein jaan na ho yan se ja shaitan zulf-e-yar ko hum de chuke aashiqon ka din hai ye shaikh ka iman na ho tark-e-taz-e-ghamza ka us ki yahi dar hai 'raza' ye gham-abaad apna shahr-e-dil kahin viran na ho