achchha hua ki mera nasha bhi utar gaya teri kalai se ye kada bhi utar gaya wo mutmain bahut hai mera sath chhod kar main bhi hun khush ki qarz mera bhi utar gaya rukhsat ka waqt hai yunhi chehra khila rahe main tut jaunga jo zara bhi utar gaya bekas ki aarzu mein pareshan hai zindagi ab to fasil-e-jaan se diya bhi utar gaya ro-dho ke wo bhi ho gaya khamosh ek roz do-chaar din mein rang-e-hina bhi utar gaya pani mein wo kashish hai ki allah ki panah rassi ka hath thame ghada bhi utar gaya wo muflisi ke din bhi guzare hain main ne jab chulhe se khali hath tawa bhi utar gaya sach bolne mein nashsha kai botalon ka tha bas ye hua ki mera gala bhi utar gaya pahle bhi be-libas the itne magar na the ab jism se libas-e-haya bhi utar gaya