ada-e-hairat-e-aina-gar bhi rakhte hain hamein na chhed ki ab tak nazar bhi rakhte hain na gird-o-pesh se is darja be-niyaz guzar jo be-khabar se hain sab ki khabar bhi rakhte hain kahan gaya teri mahfil mein zom-e-dida-waran ye hausla to yahan kam-nazar bhi rakhte hain qafas ko khol magar itna soch le sayyaad bahut asir tere baal-o-par bhi rakhte hain farishta hai to taqaddus tujhe mubarak ho hum aadmi hain to aib-o-hunar bhi rakhte hain khusha-nasib ki diwane hain to hum ai 'dil' kamal-e-nisbat-e-diwana-gar bhi rakhte hain