adib tha na main koi bada sahafi tha zamana phir bhi mere fan ka e'tirafi tha mujhe bhi zahr diya kyun na haq-bayani par ki ye gunah to na-qabil-e-muafi tha kisi se ek bhi fitrat ka raaz khul na saka agarche daur zamane ka inkishafi tha musibaton ne to nahaq uthain taklifen mujhe mitane ko mera shabab kafi tha dil-o-nazar na ulajhte to hal nikal aata hazar masala-e-did ikhtilafi tha wo meri rae se to muttafiq tha ai 'fazil' zarif-kar magar us ka inhirafi tha