agar dasht-e-talab se dasht-e-imkani mein aa jate mohabbat karne wale dal pareshani mein aa jate hisar-e-sabr se jis roz main bahar nikal aata samundar khud meri aaankhon ki virani mein aa jate agar sae se jal jaane ka itna khauf tha to phir sahar hote hi suraj ki nigahbani mein aa jate junun ki azmaton se aashnai hi na thi warna jo the ahl-e-khirad sab chaak-damani mein aa jate kisi zardar ki yun naz-bardari se behtar tha kisi ujde hue dil ki bayabani mein aa jate