agar dast-e-junun masruf-e-ehsan aur ho jata waqar-e-daman-o-jaib-o-gareban aur ho jata muqaddar se meri wahshat ka saman aur ho jata gulistan aur ho jata bayaban aur ho jata jo ahl-e-misr daman tham lete husn-e-yusuf ka na kuchh qaidi badal jata na zindan aur ho jata tabiat bhi agar aasuda-e-tir-e-sitam hoti guman-e-indimal-e-zakhm-e-paikan aur ho jata jo masjid se nikal kar aap su-e-mai-kada aate janab-e-shaikh lutf-e-din-o-iman aur ho jata junun-e-ishq ki takmil imkan mein agar hoti to daman aur ho jata gareban aur ho jata tapakta sham-e-furqat sath ashkon ke lahu dil ka ye ehsan tera mujh par chashm-e-giryan aur ho jata kami kyon ki bahut nazdik thi manzil gareban ki rasa kambakht apna dast-e-imkan aur ho jata bayaban-e-mohabbat mein na hoti kashmakash itni agar aabaad diwanon se zindan aur ho jata rag-e-gardan agar 'masud' tegh-e-kund se katti mere qatil ka mujh par bar-e-ehsan aur ho jata