agar karen kabhi wada karen nibhane ko faqat karen na hamein yun hi aazmane ko hamein yaqin nahin ab tumhaari baaton par bada jawaz koi chahiye lubhane ko hamara nam zamane ki dil ki dhadkan hai hamare nam se aawaz do zamane ko jabin-e-khak se kuchh is qadar muzayyan hai zamana chahiye ab ye nishan mitane ko lahu ka nam badal kar jo rakh diya pani zamana khub badha phir use bahane ko kisi ne jurm-e-zina ki saza sunai to zamane bhar mein lagi aag dil jalane ko janab-e-'momin-e-hindi' ye waqt-e-faisal hai jami hai bhid tumhein ran mein aazmane ko