agar main jaanta hai ishq mein dhadka judai ka to jite ji na leta nam hargiz aashnai ka jo aashiq saf hain dil se unhin ko qatl karte hain bada charcha hai mashuqon mein aashiq-azmai ka karun ek pal mein barham kar-khane ko mohabbat ke agar aalam mein shohra dun tumhaari bewafai ka jafa ya mehr jo chahe so kar le apne bandon par mujhe khatra nahin hargiz burai ya bhalai ka na pahuncha aah-o-nala gosh tak us ke kabhu apna bayan hum kya karen tale ki apne na-rasai ka khudaya kis ke hum bande kahawen sakht mushkil hai rakhe hai har sanam is dahr mein dawa khudai ka khuda ki bandagi ka 'soz' hai dawa to khilqat ko wale dekha jise banda hai apni khud-numai ka