agar yaqin na rakhte guman to rakhte hum apne hone ka koi nishan to rakhte tamam din jo kadi dhup mein sulagte hain ye ped sar pe koi saeban to rakhte hamari baat samajh mein to un ki aa jati hum apne sath koi tarjuman to rakhte hamein safar ka khasara pasand tha warna musafirat ki thakan sar pe tan to rakhte mushahidat ka dar laziman khula hota hum apni aankh su-e-shama-dan to rakhte jila ke baith gae daman-e-sahar 'nasik' sitare tut rahe the to dhyan to rakhte