agar zahid tu mahfil mein hamari ek bar aae usi jaanib ko phir uthen qadam be-ikhtiyar aae jo aae mai-kade se be-khud-o-msatana-war aae kahin aisa na ho ba-hosh koi baada-khwar aae dil-o-iman-o-din hosh-o-khirad kuchh bhi nahin baqi kisi ki hum nigah-e-naz ka sadqa utar aae pilai aaj maikhane mein nazron se sharab aisi dua dete hue saqi ko sare baada-khwar aae sitam sah sah ke kati umr sari uf na ki hum ne wafaon ka meri ai kash un ko e'tibar aae