agarche aah-e-sar-e-sham bhi zaruri hai

agarche aah-e-sar-e-sham bhi zaruri hai
dil-e-sitam-zada aaram bhi zaruri hai

sitam-shiar ki tafrih-e-samea ke liye
kharosh-e-murgh-e-tah-e-dam bhi zaruri hai

ziya-e-kirmak-e-shab-tab hi nahin kafi
sitara-e-sahar-anjam bhi zaruri hai

giran-baha hai mabahis ki shabnam-agini
agarche burrish-e-samsam bhi zaruri hai

badi hai baat to munh bhi bada muhayya kar
phir is ke sath bada nam bhi zaruri hai

sukut gul ka agar na-guzir hai 'jafar'
to andalib ka kohram bhi zaruri hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close