ahd-e-junun mein baithe baithe jo ghazlen likh dali thin hum ko ruswa duniya bhar ko pagal karne wali thin aankhon mein wo sham ka tukda aksar chubhta rahta hai ghar mein aandhi jab aai thi shamen jalne wali thin chand sitare tut rahe the khwabon ki angnai mein aankh khuli to dekha ghar ki sab diwaren kali thin chutki bhar ummid nahin thi kasa le kar kya phirte shahr-e-wafa ki sari galiyan apni dekhi-bhaali thin pyar ka mausam bit chuka tha basti mein jab pahunche hum logon ne phulon ke badle talwaren mangwa li thin 'qaisar' dil ka haal suna kar jab yaron ka munh dekha sab ke chehre sukhe sukhe sab ki aankhen khali thin