ai dil walo ghar se niklo deta dawat-e-am hai chand shahron shahron qariyon qariyon wahshat ka paigham hai chand tu bhi hare dariche wali aa ja bar-sar-e-baam hai chand har koi jag mein khud sa dhunde tujh bin base aaram hai chand sakhiyon se kab sakhiyan apne ji ke bhed chhupati hain hum se nahin to us se kah de karta kahan kalam hai chand jis jis se use rabt raha hai aur bhi log hazaron hain ek tujhi ko be-mehri ka deta kyun ilzam hai chand wo jo tera dagh ghulami mathe par liye phirta hai us ka nam to 'insha' thahra nahaq ko badnam hai chand hum se bhi do baaten kar le kaisi bhigi sham hai chand sab kuchh sun le aap na bole tera khub nizam hai chand hum is lambe-chaude ghar mein shab ko tanha hote hain dekh kisi din aa mil hum se hum ko tujh se kaam hai chand apne dil ke mashriq-o-maghrib us ke rukh se munawwar hain be-shak tera rup bhi kaamil be-shak tu bhi tamam hai chand tujh ko to har sham falak par ghatta-badhta dekhte hain us ko dekh ke id karenge apna aur islam hai chand